-->

Zinda Hai Lyrics by Raftaar | Tiger Zinda Hai


Zinda Hai Lyrics from Tiger Zinda Hai accomplishment Salman Khan and Katrina Kaif is sung by Sukhwinder Singh and Raftaar. Zinda Hai music is created by Vishal, Shekhar and Julius Packiam while verses are composed by Irshad Kamil. Download Pdf Here.



Zinda Hai Lyrics by Raftaar 



Sehra sahil jungle basti baag woh

Shola shola jalta charag woh

Ho parvat paani aandhi ambar aag woh

Shola shola jalta charag woh



Har kaali raat se ladna hai

Woh jalta aur nikharta hai

Aage hi aage badhta jab tak

Zinda hai



Bheetar toofan abhi zinda hai

Jazbon mein jaan abhi zinda hai

Saagar khamoshi mein bhi

Saagar hi rehta hai

Mehlon se kehta hai woh zinda hai



Bheetar toofan abhi zinda hai

Jazbon mein jaan abhi zinda hai



Taar ke saaye mein hai woh chhupa

Dushman na dekhega kabhi subah

Kahan se aaya woh kahan hai jaata

Na mujhko pata hai na tujhko pata



Shatru ko karta nirastra

Rees ab badalta woh jaise ho astra

Jad se ukhadega, bheetar se maarega

Uska irada hai Bramha ka astra



Woh gyani hai, swabhimani wohi

Tu jaanta uski kahani nawi

Zinda hai zinda rahega woh jab tak ke

Marne ki usne hi thaani nahi



Hairat gussa chahat aur malal woh

Ziddi ziddi ziddi khayal woh

Hey jung bhi hai woh hamla bhi aur jaan lo

Ziddi ziddi ziddi khayal woh

Sholon ki aankh mmein rehta hai

Har sachchi baat woh kehta hai

Lava sa nason mein behta hai

Woh jab tak zinda hai



Bheetar toofan abhi zinda hai

Jazbon mein jaan abhi zinda hai

Saagar khamoshi mein bhi

Saagar hi rehta hai

Mehlon se kehta hai woh zinda hai



Bheetar toofan abhi zinda hai



Jazbon mein jaan abhi zinda hai



DOWNLOAD PDF HERE

CLICK HERE